Baroda....Who Baroda....Apna Baroda….

Woh room zoom ki pani puri, woh ellora park ki chaat,
Woh Dairy Den ki ice cream, woh Rajkamal ke khaman.
Woh Ambassodar ki mithai, woh South Corner ka dosa,
Woh FNF ki pav bhaji aur Payal ka samosa. 

Woh rikshaw ka 'saffer', woh Sur sagar ki hawa,
Woh JK florist's roses ke kante aur Kamatibaug park ka sama.
Woh December ki zara si sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.

Woh holi ki masti, woh Unitedway ke garbe,
Woh diwali ke patekhe aur ganpati ka shor o sharaba. 
Woh Uttarayan ki patange aur woh Akbari ka Dora,
Woh Ajawa ka Garden aur woh Nimeta ka Water Park.

Woh R.C. Dutt road ka mahol, woh Fatehgunj ki leheren, 
Woh Pyarelal ki kachori,woh Manmohan ke bhajiye,
Woh Muffins ke puff, woh KOKA aur chai,
Woh Jagdish ke bhakarwadi, woh mahakali ka "Sev Usal".


Woh Sardar baug ke jhaadiyan, jahaa hotey they mel.
Woh Rajashree ka samosa aur National Plaza mein shopping,
Woh Sayajigung (homescience) ka nazara aur Concorde building.
Woh Convent ki ladkiya aur woh homescience ki beauty,

Woh 25th ka Christmas aur woh 31st ka funfare.
Woh Inox cinema ke Adda, woh black ki pink ticket, 
Woh Ellora-park jo avval tha pani-puri mein,
Woh raunak jo rehti thi Alkapuri mein,

Woh Jagdish ke farsan, woh Kalyaan ka dosa,
Woh Vishaal jo daalta tha Sandwich mein samosa,
Woh Raju ka Omlet, woh Duliraam ke pende,
Who halki si baarish mein Sarabhai ke bhajiye,
Kahaan jalaram ki lassi, aur woh Wadi ki tam-tam..


Woh Vaccine aur Aarkee ke rangeele garbay,
Woh home-science ki maalein, woh fine-arts ke fatkay,
Hansa mehta ke chakkar, SD Hall ka phera,
Fatehgunj ki sadkon pe ladkon ka dera..
Na career ki chinta, na naukri ka tension..

I Love U Baroda.
Miss you Baroda ..!!!!